Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

kal aur aaj




vo bhii kyaa log the aasaan thii raahe.n jin kii
band aa.Nkhe.n kiye ik simt chale jaate the
aql-o-dil Khvaab-o-haqiiqat kii na uljhan na Khalish
muKhtalif jalve nigaaho.n ko na bahalaate the

[Khalish=pain/prick; muKhtalif=different types]

ishq saadaa bhii thaa beKhud bhii junuu.N_peshaa bhii
husn ko apanii adaao.n pe hijaab aataa thaa
phuul khilate the to phuulo.n me.n nashaa hotaa thaa
raat Dhalatii thii to shiisho.n pe shabaab aataa thaa

[hijaab=coyness]

chaa.Ndanii kaif_asar ruuh_afzaa hotii thii
abr aataa thaa to bad_mast bhii ho jaate the
din me.n shorish bhii huaa karatii thii hangaame bhii
raat kii god me.n muu.Nh Dhaa.Np ke so jaate the

[kaif_asar=inducing intoxication; ruuh_afzaa=soul refreshing]
[abr=cloud; bad_mast=intoxicated; shorish=tumult]

narm rau vaqt ke dhaare pe safiine the ravaa.N
saahil-o-bahr ke aa_iin na badalate the kabhii
naaKhudaao.n pe bharosaa thaa muqaddar pe yaqii.n
chaadar-e-aab se tuufaan na ubalate the kabhii

[narm rau=gently moving; safiinaa=boat]
[saahil=shore; bahr=sea; aa_iin=law/natural way]
[naaKhudaa=oarsman; muqaddar=fate; aab=water]

ham ke tuufaano.n ke paale bhii sataaye bhii hai.n
barq-o-baaraa.N me.n vo hii shame.n jalaaye.n kaise
ye jo aatish_kadaa duniyaa me.n bha.Dak uTThaa hai
aa.Nsuo.n se use har baar bujhaaye.n kaise

[barq=lightning; baaraa.N=storm; aatish_kadaa=conflagration]

kar diyaa barq-o-buKhaaraat ne mahashar barpaa
apane daftar me.n litaafat ke sivaa kuchh bhii nahii.n
ghir gaye vaqt kii beraham kashaakash me.n magar
paas tahaziib kii daulat ke sivaa kuchh bhii nahii.n

[bukhaaraat=fevers/great heat; mahashar=day of judgement]
[lataafat=elegance/pleasantness; beraham=merciless]
[kashaakash=struggle; tahaziib=civilization/politeness]

ye andheraa ye talaatum ye havaao.n kaa Kharosh
is me.n taaro.n kii subuk narm ziyaa kyaa karatii
talKhii-e-ziist se ka.Davaa huaa aashiq kaa mizaaj
nigaah-e-yaar kii maasuum adaa kyaa karatii

[talaatum=upheaval; Kharosh=loud noice/cry]
[subuk=delicate (here it means dim); ziyaa=brilliance/shine]
[talKhii-e-ziist=bitterness of reality/life; ka.Davaa=sour taste]

safar aasaan thaa to manzil bhii ba.Dii raushan thii
aaj kis darjaa pur_asaraar hai.n raahe.n apanii
kitanii parachhaa_iyaa.N aatii hai.n tajallii ban kar
kitane jalvo.n se ulajhatii hai.n nigaahe.n apanii

[darjaa=grade/level; pur_asaraar=full of secrets/intricate/complex]
[tajallii=bright light]


No comments