Gam se kahii najaat mile chain paaye ham
dil Khuun mein nahaa_e to gangaa nahaaye ham
jannat men jaaye ham ki jahannum mein jaaye ham
mil jaa_e tuu kahii na kahii tujh ko paaye ham
mumkin hai ye ki vaade pe apane vo aa bhii jaye
mushkil ye hai ki aap me.n us vaqt aaye.N ham
naraaz ho Khudaa to kare.n ba.ndagii se Khush
maashuuq ruuth jaae to kyo.n kar manaaye ham
sar dosto.n ke kaaT kar rakkhe hai.n saamane
Gairo se puuchhate hai qasam kis kii khaaye ham
saunpaa tumhe Khudaa ko chale ham to naamuraad
kuchh padh ke baKhshanaa jo kabhii yaad aaye ham
ye jaan tum na loge agar aap jaayegii
is bevafaa kii Khair kahaa tak manaaye.N ham
ham-saaye jaagate rahe naalo.n se raat bhar
soye huye nasiib ko kyo.n kar jagaaye.N ham
tuu bhuulane kii chiiz nahii.n Khuub yaad rakh
ai "Daag" kis tarah tujhe dil se bhulaaye.N ham
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments