kaabe kii hai havas kabhii kuu-e-butaan kii hai
mujh ko Khabar nahii merii miTTii kahaan kii hai
kuchh taazagii ho lazzat-e-aazaar ke liye
har dam mujhe talaash naye aasamaa.N kii hai
hasarat baras rahii hai mere mazaar se
kahate hain sab ye qabr kisii naujavaa kii hai
qaasid kii guftaguu se tasallii ho kis tarah
chhipatii nahi vo jo terii zabaan kii hai
sun kar meraa fasaanaa-e-Gam us ne ye kahaa
ho jaaye jhuuT sach, yahii Khuubii bayaan kii hai
kyuu kar na aa_e Khuld se aadam zamiin par
mauzuu vahin vo Khuub hai, jo shay jahaan kii hai
urduu hai jisakaa naam hamii jaanate hai ‘Daag’
hindustaan mein dhuum hamaarii zabaan kii hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments