Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

dil gayaa tum ne liyaa ham kyaa kare

dil gayaa tum ne liyaa ham kyaa kare
jaanevaalii chiiz kaa Gam kyaa kare
puure honge apane armaan kis tarah
shauq behad waqt hai kam kyaa kare.n
baksh de pyaar kii gustaaKhiyaa.N
dil hii qabuu mein nahin, ham kyaa karen
tund khuu hai kab sune vo dil kii baat
aur bhii baraham ko baraham kyaa kare.n
ek saaGar par hai apanii zindaagii
raftaa raftaa is se bhii kam kyaa kare.n

kar chuke sab apanii-apanii hikamate.n
dam nikalataa hai ai mere hamadam kyaa kare.n

dil ne siikhaa shevaa-e-begaanagii
aise naamuharim ko muharim kyaa kare.n

maamalaa hai aaj husn-o-ishq kaa
dekhiye vo kyaa kare.n ham kyaa kare.n

kah rahe hai.n ahal-e-sifaarish mujhase "Daag"
terii qismat hai burii ham kyaa kare.n


No comments