Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

ye dil kabhii na muhabbat me.n kaamayaab huaa




ye dil kabhii na muhabbat me.n kaamayaab huaa
mujhe Kharaab kiyaa, aap bhii Kharaab huaa
ajal mein, ziist mein turabat mein, hashr mein zaalim
tere sitam ke liye main hii intaKhaab huaa


nigaah-e-mast ko saaqii kii kaun de ilzaam
meraa nasiib ki rusavaa meraa shabaab huaa
hamaare ishq kii das-biis ne bhii daad na dii
kisii kaa husn zamaane me.n intaKhaab huaa
fanaa kaa daavaa hazaaro.n ko thaa zamaane me.n
habaab ne mujhe dekhaa to aab-aab huaa


No comments