Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

tu paas bhi ho to dil beqaraar apna hai



tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahi intazaar apanaa hai

mile koi bhii teraa zikr chhed dete hai
ke jaise saaraa jahaa raazdaar apanaa hai

vo duur ho to bajaa tark-e-dostii kaa Khayaal
vo saamane ho to kab iKhtiyaar apanaa hai

zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik Gam_gusaar apanaa hai

'Faraz' raahat-e-jaa.N bhii vahii hai kyaa kiije
vo jis ke haath se siinaa_fiGaar apanaa hai


No comments