Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

ajab akhbaar likkhaa jaa rahaa hai

ajab akhbaar likkhaa jaa rahaa hai
ke manshaa-vaar likkhaa jaa rahaa hai

likkhii hai haal dil men haae-hauvaj
ye haal-e-jaar likkhaa jaa rahaa hai

kahiin golii likkhaa hai aur kahiin maar
ye golii-maar likkhaa jaa rahaa hai

main rishtaa-daar hoon us kaa so mujh ko
sarishtaa-daar likkhaa jaa rahaa hai

mijaaj-e-yaar baraham hai ke us kii
majaaj-e-yaar likkhaa jaa rahaa hai

samundar paar paDhne jaa rahaa hoon
samundar paar likkhaa jaa rahaa hai


No comments