Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

hu_ii hai shaam to aankho.n me.n bas gayaa phir tuu




hu_ii hai shaam to aankhon mein bas gayaa phir tuu
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu

bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu


merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa huu
teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taa_ir tuu


mai.n jaanataa huu.N ke duniyaa tujhe badal degii
mai.n maanataa huu.N ke aisaa nahii.n bazaahir tuu

ha.Nsii Khushii se bichha.D jaa agar bichha.Danaa hai
ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu

'Faraz' tuune use mushkilo.n me.n Daal diyaa
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu

[saahib-e-zar = wealthy] [naKhl-e-Khushk-e-saharaa = dry tree in the wilderness]
[bazaahir = appear to be]
[shaKhs = individual/person]


No comments