Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

izhaar




dabii hui hai mere labo mein kahi pe vo aah bhii jo ab tak
na sholaa ban ke bhadak sakii hai na ashk-e-besuud ban ke nikalii
ghuTii hui hai nafas kii had mein jalaa diyaa jo jalaa sakii hai
na shamaa ban kar pighal sakii hai na aaj tak duud ban ke nikalii
diyaa hai beshak merii nazar ko vo paratau jo dard baKhshe
na mujh par Gaalib hii aa sakii hai na meraa masjuud ban ke nikalii


No comments