Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

jis simt bhi dekhu nazar aataa hai ke tum ho




jis simt bhii dekhu nazar aataa hai ke tum ho
ai jaan-e-jahaan  ye koyi tum saa hai ke tum ho

ye Khvaab hai Khushbuu hai ke jhonkaa hai ke pal hai
ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho

is diid kii sa_aat mein kai rang hain larazaa
mai.n huu.N ke ko_ii aur hai duniyaa hai ke tum ho

dekho ye kisii aur kii aa.Nkhe.n hai.n ke merii
dekhuu.N ye kisii aur kaa cheharaa hai ke tum ho

ye umr-e-gurezaa.N kahii.n Thahare to ye jaanuu.N
har saa.Ns me.n mujh ko ye lagataa hai ke tum ho

har bazm me.n mauzuu-e-suKhan dil zad_gaa.N kaa
ab kaun hai shiirii.n hai ke lailaa hai ke tum ho

ik dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke mai.n huu.N
ik mauj me.n aayaa huaa dariya hai ke tum ho

vo vaqt na aaye ke dil-e-zaar bhii soche
is shahar me.n tanhaa ko_ii ham saa hai ke tum ho

aabaad ham aashuftaa saro.n se nahii.n maqtal
ye rasm abhii shahar me.n zindaa hai ke tum ho

ai jaan-e-'Faraz' itanii bhii taufiiq kise thii
ham ko Gam-e-hastii bhii gavaaraa hai ke tum ho


No comments