us kii hasarat hai jise dil se mitaa bhii na sakuu
Dhuundhane us ko chalaa huu jise paa bhii na sakuu
Daal kar Khaak mere Khuun pe qaatil ne kahaa
kuchh yeh mehandii nahin merii ke mitaa bhii na sakuu
zabt kambaKht ne aur aa ke galaa ghontaa hai
ke use haal sunaau.N to sunaa bhii na sakuu
us ke pahaluu mein jo lejaa ke sulaa duu dil ko
niind aisii use aaye ke jagaa bhii na sakuu
naqsh-e-paa dekh to luu.N laakh karuungaa sajade
sar meraa arsh nahin hai ki jhukaa bhi na sakuu
bevafaa likhate hai vo apanii kalam se mujh ko
ye vo qismat kaa likhaa hai jo mitaa bhii na sakuu
is tarah soye hain sar rakh ke mere zaano.n par
apanii soi hui qismat ko jagaa bhii na sakuu
[zabt=forbearance]
[pahaluu=lap ]
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments