Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

achchhe isaa ho mariizoo kaa Khayaal achchhaa hai




achchhe isaa ho mariizo.n kaa Khayaal achchhaa hai
ham mare jaate hai.n tum kahate ho haal achchhaa hai

tujh se maa.Nguu.N mai.n tujhii ko ki sab kuchh mil jaaye
sau savaalo.n se yahii ek savaal achchhaa hai

dekh le bul_bul-o-paravaanaa kii betaabii ko
hijr achchhaa na hasiino.n kaa visaal achchhaa hai

aa gayaa us kaa tasavvur to pukaaraa ye shauq
dil me.n jam jaaye ilaahii ye Khayaal achchhaa hai


No comments