Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

ham the hamaare saath koi tiisra na tha

ham the hamaare saath koi tiisra na tha
aisaa hasiin din kahiiN dekha suna na tha

aankhoN meN us ke tair rahe the haya ke rang
palkeN uThha ke meri taraf dekhta na tha

kuChh aise us ki jhiil si aankheN thiN har taraf
ham ko sivaaye Duubne ke raasta na tha

haathoN meN der tak koi Khushbu basi rahi
darvaaza-e-chaman tha voh band-e-qaba na tha

us ke to ang ang meN jalne lage diye
jaadu hai mere haath meN, mujh ko pata na tha

us ke badan ki lau se thi kamre meN raushni
khiRki meN chaand, taaq meN koi diyaa na tha

kal raat voh nigaar hua aisa multafat
aksoN ke darmiyaan koi aaina na tha

saansoN meN the gulaab to honToN pe chaandni
inn manzaroN se maiN to kabhi aashna na tha

royaa kuchh iss tarah mere shaane se lag ke voh
aise laga ke jaise kabhi bevafa na tha

hai ishq ek rog, muhabbat azaab hai
ik roz yah kharaab kareN ge, kaha na tha!

Amjad vahaaN pe had koii rehti bhi kis tarah
rukne ko keh raha tha magar rokta na tha


No comments