ho.nTho.n pe kabhii un ke meraa naam hii aaye
aaye to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aaye
hairaan hai.n lab_bastaa hai.n, dil_giir hai.n Gunche
Khushbuu kii zubaanii teraa paiGaam hii aaye
lamhaat-e-masarrat hai.n tasavvur se gurezaa.N
yaad aae hai.n jab bhii Gam-o-aalaam hii aaye
taaro.n se sajaa le.nge raah-e-shahar-e-tamannaa
maqaduur nahii.n subho chalo shaam hii aaye
yaado.n ke vafaao.n ke aqiido.n ke Gamo.n ke
kaam aaye jo duniyaa me.n to is naam hii aaye
kyaa raah badalane kaa gilaa ham_safaro.n se
jis raah se chale tere dar-o-baam hii aaye
thak haar ke baiThe hai.n sar-e-kuu-e-tamannaa
kaam aaye to phir jazbaa-e-naakaam hii aaye
baaqii na rahe saaKh "Adaa" dasht-e-junuu.N kii
dil me.n agar andeshaa-e-anjaam hii aaye
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments