kabhii to aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye
tumhaare naam kii ik Khuubasuurat shaam ho jaaye
hamaaraa dil savere kaa sunaharaa jaam ho jaaye
charaaGo kii tarah aankhe jale jab shaam ho jaaye
ajab haalaat the yuu dil kaa saudaa ho gayaa aakhir
mohabaat kii havelii jis tarah niilaam ho jaaye
samandar ke safar mein is tarah aavaaz do hamako
havaaye tez ho aur kashtiyo me.n shaam ho jaaye
mai Khud bhii ehatiyaatan us galii se kam guzarataa huu,
koi maasuum kyo mere liye badanaam ho jaaye
mujhe maaluum hai us kaa Thikaana phir kahaa hogaa
pari.ndaa aasmaa chhuune mein jab naaqaam ho jaaye
ujaale apanii yaado.n ke hamaare saath rahane do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaaye
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments