Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

karb ke shahar se nikale to ye manzar dekhaa




karb ke shahar se nikale to ye manzar dekhaa
ham ko logo.n ne bulaayaa hame.n chhuu kar dekhaa

[karb=vexation/anguish]

jab bhii chaahaa hai ki malabuus-e-vafaa ko chhuu le.n
misl Khushbuu ko_ii u.Dataa huaa paikar dekhaa

[malabuus=garment; misl=like/example; paikar=form]

vo barasaat me.n bhiigaa to nigaahe.n uTThii.n
yo.n lagaa hai ko_ii tarshaa huaa patthar dekhaa

zindagii kitanii pareshaa.N hai ye sochaa bhii na thaa
is ke ataraaf me.n sholo.n kaa sama.ndar dekhaa

[ataraaf=all around]

aa ga_ii Gam kii havaa phir tere gesuu chhuukar
hamane viiraanaa-e-dil phir se mu'attar dekhaa

[gesuu=hair; mu'attar=fragrant/filled with perfume]

vo jo u.Datii hai sadaa dasht-e-vafaa me.n "Afzal"
usii miTTii me.n nihaa.N dard kaa gauhar dekhaa

[dasht=desert/wilderness; nihaa.N=hidden/buried; gauhar=pearl]


No comments