Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

Kayee aarzoo kay saraab they jinheiN tashnagi ney bujha diya

Kayee aarzoo kay saraab they jinheiN tashnagi ney bujha diya
meiN safar meiN tha kisi dasht kay.mujhey zindagi ney bujha diya


woh jo kuchh haseen sey khaab they.merey aansuoN hi mein ghul gaye
jo chamak thi meri nigaah mein usey ik nami ney bujha diya


yeh dhuwan dhuwaan jo khayal hain ,isi baat ki to daleel haiN
koi aag mujh meiN zaroor thi jisey be hisi ney bujha diya


meri wusAtoN ki hadoN talak.meri darhkanoN hi ka shor hai
mirey gird jitni sadaeiN theiN.unheiN khamshi ney bujha diya


kahaN khatm hai mujhey kya pata;miri kashmkash ka yeh silsila
mein charagh ban kay jala hi tha ,mujhey phir kisi ney bujha diya


woh jo ik safar ka junoon tha,woh jo manzilon ki talaash thi
jo tarhap thi mujh meiN kahan gayee.mujhey kis kami ney bujha diya?


Woh hua tha raat jo haadisa;mujhey;shaad; itna hi yaad hai
koi jugnuoN ki qataar thi ,jisey roshni ney bujha diya


No comments