Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

kheto.n kaa haraapan mai.n kahaa dekh rahaa huu




kheto kaa haraapan mai.n kahaa.N dekh rahaa hu,
mai.n rel ke injan kaa dhuaa.N dekh rahaa hu.

fursat hai kahaa.N aap ke baaGaat me.n Tahaluu.N
mai.n apane uja.Dane kaa samaa.N dekh rahaa huu.N

[baaGaat = gardens; Tahalanaa = to stroll]

Khanjar jo gavaahii hai mere qatl kii us par
apanii hii ungaliyo.n ke nishaaN dekh rahaa huu

[Khanjar = dagger; gavaahii = witness; qatl = murder]

sab aap kii aa.Nkho.n se jahaa.N dekh rahe hai.n
mai.n aap kii aa.Nkho.n me.n jahaa.N dekh rahaa huu.N

vo soch me.n Duube hai.n nishaanaa ho kahaa.N par
mai.n TuuTe huye tiir-kamaa.N dekh rahaa huu.N

maaluum hai taqariir likhaa laaye hai.n kis se
mai.n un kaa zaraa tarz-e-bayaa.N dekh rahaa huu.N

[taqariir = speech/discourse; tarz-e-bayaa.N = style of speaking]

jo mai.n ne Khariidaa thaa kabhii bech ke Khud ko
niilaam me.n bikataa vo makaa.N dekh rahaa huu.N

[niilaam = auction]

tuu Dhuundh rahii hogii kahaa.N mujh ko qayaamat
main kab se terii raah yahaa.N dekh rahaa huu

Tokaa jo unhonne ki kaho dekh lii duniyaa
main bhii kahaa ha.Ns ke ki haa dekh rahaa huu

buudhii hui ummiid to kyaa phir bhii la.Duu.Ngaa
main apane iraade ko javaan dekh rahaa huun

jis raah se jaanaa hai nai pidhii ko 'Rahi'
us raah me.n ik andhaa kuaa.N dekh rahaa huu.N

No comments