lab-e Khaamosh se afshaa hogaa
raaz har rang mein rusvaa hogaa
dil ke saharaa mein chalii sard havaa
abr gulzaar pe barasaa hogaa
tum nahi the to sar-e-baam-e-Khayaal
yaad kaa koi sitaaraa hogaa
kis tavaqqo pe kisii ko dekhe
koi tum se bhii haseen kyaa hogaa
ziinat-e-halqaa-e-aaGosh bano
duur baithoge to charchaa hogaa
zulmat-e-shab mei bhii sharmaate ho
dard chamakegaa to phir kyaa hogaa
jis bhii fankaar kaa shaahakaar ho tum
us ne sadiyo tumhe sochaa hogaa
kis qadar karb se chatakii hai kalii
shaakh se gul koi Tuutaa hogaa
umr bhar roye faqat is dhun mei
raat bitii to ujaalaa hogaa
saarii duniyaa hame pahachaanatii hai
koi ham-saa bhii na tanhaa hogaa
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments