labo pe narm tabassum rachaa ke dhul jaayen
Khudaa kare mere aansuu kisii ke kaam aayen
jo ibtadaa-e-safar mein diye bujhaa baithe
vo bad_nasiib kisii kaa suraag kyaa paaye
talaash-e-husn kahaa le chalii Khudaa jaane
umang thii ki faqat zindagii ko apanaaye
bulaa rahe hai ufaq par jo zard-ruu Tiile
kaho to ham bhii fasaane ke raaz ho jaaye
na kar Khudaa ke liye baar-baar zikr-e-bahisht
ham aasmaan kaa mukarrar fareb kyon khaaye
tamaam maikadaa sun_saan maigusaar udaas
laboo ko khol kar kuchh sochatii hai miinaaye
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments