Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

maruu to main kisii chehare mein rang bhar jaau




maruu to mai kisi chehare mei rang bhar jaau
'Nadeem' kaash yahii ek kaam kar jaau

ye dasht-e-tark-e-muhabbat ye tere qurb kii pyaas
jo izaan ho to terii yaad se guzar jaau


meraa vajuud merii ruuh ko pukaarataa hai
terii taraf bhii chaluun to Thahar Thahar jaau

tere jamaal kaa paratau hai sab hasiino par
kahaan kahaa tujhe Dhuundhuu kidhar kidhar jaau



mai zindaa thaa ki teraa intazaar Khatm na ho
jo tuu milaa hai to ab sochataa huu mar jaau

ye sochataa huu.N ki mai  but_parast kyu na huaa
tujhe qariib jo paau to Khud se Dar jaau

kisii chaman mein bas is Khauf se guzar na huaa
kisii kalii pe na bhuule se paanv dhar jaau

ye jii mein aatii hai taKhliiq-e-fan ke lamho mei
ki Khuun ban ke rag-e-sang me.n utar jaau

[paratau = reflection (saayaa,aks)]
[izaa.N = permission]


No comments