mere saath tum bhii duaa karo yuu.N kisii ke haq mein buraa na ho
kahii.n aur ho na ye haadasaa koi raaste mein judaa na ho
mere ghar se raat kii sej tak vo ik aansuu kii lakiir hai
zaraa bad ke chaand se puuchhanaa vo isii taraf se gayaa na ho
NOTE: Some books have the first misra of the above sher as:
merii chhat se raat kii subah tak ko_ii aa.Nsuuo.n kii lakiir hai
sar-e-shaam Thaharii hu_ii zamii.n, aasamaa.N hai jhukaa huaa
isii mo.D par mere vaaste vo charaaG le kar kha.Daa na ho
vo farishte aap hii Dhuu.NDhiye kahaaniyo.n kii kitaab me.n
jo buraa kahe.n na buraa sune ko_ii shaKhs un se Khafaa na ho
vo visaal ho ke firaaq ho terii aag mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo charaaG ban ke jalaa na ho
mujhe yuu.N lagaa ki Khaamosh Khushbuu ke honTh titalii ne chhuu liye
inhii zard patto
kii oT mein koi phuul soyaa huaa na ho
isii ehatiyaat me.n mai.n rahaa, isii ehatiyaat me.n vo rahaa
vo kahaa.N kahaa.N mere saath hai kisii aur ko ye pataa na ho
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments