Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aayaa hai




na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aayaa hai
Khushi kaa rang liye har malaal aayaa hai



vo ek shaKhs ki haasil na thaa jo Khud ko bhii
miTaa kisi pe to kaisaa bahaal aayaa hai

zubaan pe harf-e-talab bhii nahin koi phir bhii
nigaah-e-dost mein rang-e-jalaal aayaa hai



kiyaa na zikr bhii jis kaa tamaam umr kabhii
hamaare kaam bahut vo malaal aayaa hai

nahin hai tum se koi dostii bhii ab to magar
qadam qadam pe ye kaisaa vabaal aayaa hai

[vabaal = trouble] [harf-e-talab = word of desire; rang-e-jalaal = colour of anger] [malaal = sorrow]


No comments