shehar ujra ho to aabad karon
jo na bhulay ussay kya yaad karon
sari chezein hi badal ker rah jaein
eik hunar essa bhi ejad karon
mere lafzoon se nikal jaye asar
koi khwahish jotere baad karon
bhek lanat hai;millay ya na millay
kyun mein ruswai-e-faryad karon
koi uss aakh pe shayed utray
rooz eik khawab ko azad karon
yeh to hai khel ka hissa amjad
kis liye shikwa bedad karon
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments