Un pe guzri koi Saa'at to AzaaboN ki tarah
jo samandar nazar aatey haiN, SaraaboN ki tarah
Qais o farhaad k qissey they hamari meeraass
unko padhtey rahey ham log NisaaboN ki tarah
Zulmate-shab mein mahak uTh-ti hain yaadeiN aksar
Teri zulfoN ke saman aur GulaaboN ki tarah
Zindagii kaise guzaari koi ham se poochey
Soyi aankhoN ki tarah, jaagtey KhwaboN ki tarah
Ab nayi nasl ke bachchey nahi padhtey inko
hain Buzurg aaj ke, farsooda KitaboN ki tarah
uski masnad hai hami khaak-nasheenoN ki ata'a
ham se milta hai jo ab aali-janaboN ki tarah
har zamane mein 'Sukhan' surkh-ru ham log huye
har taghayyur pe nazar rakhkhi uqaaboN ki tarah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments