Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

Aaj phir mere tasavvur ka hai mehvar chandni

Aaj phir mere tasavvur ka hai mehvar chandni
Jaa- ba-Ja chitki hui wo khwab-paikar chandni

Wo salona roop lekar baam par aaye agar
dekhti hai shokhiyoN se usko ruk kar chandni

Ru-siyaahi ban gayi hai har 'amaavas' ka naseeb
Hai magar poonam ki raatoN ka muqaddar chandni

AahatoN se ho gaye bedaar phir kitne kahyal
Raat ke zeene se aayi hai utar kar chandni

Ek ridaaye-noor bankar chaa gayi hai farsh par
ban gayi hai khetkhalyaano ka bistar chandni

Shabnami poshaak pehne aakhirash rukhsat hui
chand qatrey mere chehre par gira kar chandni

Eik manzar hai Milan ka zehn meiN ab tak 'sukhan'
Raat ka pichla pehar, taarey, samander, chandni

No comments