Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

akelii




ajanabii apane qadamo.n ko roko zaraa
jaanatii huu.N tumhaare liye Gair huu.N
phir bhii Thaharo zaraa
sunate jaao ye ashko.n bharii daastaa.N
saath lete chalo ye mujassim fuGaan

aaj duniyaa me.n meraa koi bhii nahin
merii ammii nahii
mere abbaa nahii
merii aapaa nahii
mere nanhe se maasuum bhaiyaa nahii.n
merii ismat kii maGruur kirane.n nahii.n
vo gharondaa nahii.n jis ke saaye tale
loriyo.n ke tarannum ko sunatii rahii
phuul chunatii rahii
giit gaatii rahii
msukuraatii rahii
aaj kuchh bhii nahii.n

merii nazaro.n ke sahame hue aa_iine
merii ammii ke mere abbaa ke aapaa ke
aur mere nanhe se maasuum bhaiyaa ke Khuun se
hain dahashat_zadaa
aaj merii nigaaho.n kii viiraaniyaan
chand majaruuh yaado se aabaad hai
aaj merii umangon ke suukhe kanval
mere ashko.n ke paanii se shaadab hai
aaj merii ta.Dapatii hui sisakiyaa
ek saaz-e-shikastaa ki fariyaad hai
aur kuchh bhii nahi
bhuuk miTatii nahi
tan pe kapa.Daa nahi
aas maaduum hai

aaj duniyaa me.n meraa koi bhii nahii.n
ajanabii apane qadamo.n ko roko zaraa
sunate jaao ye ashko.n bharii daastaa
saath lete chalo ye mujassim fuGa

merii ammii bano
mere abbaa bano
merii aapaa bano
mere nanhe se maasuum bhaiyaa bano
merii ismat kii Magruur kirane.n bano
mere kuchh to bano
mere kuchh to bano
mere kuchh to bano


No comments