ab dekhiye Thaharatii hai jaa kar nazar kahaa.N
yaarab is iKhtilaat ka anjaam ho baaKhair
tha us ko ham se rabt, magar is qadar kahaa.N
ik umr chaahiiye ke gavaaraa ho naish-e-ishq
rakkhii hai aaj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahaa’n,
ham jis pe mar rahe hai’n vo hai baat hii kuchh aur ,
aalam me’n tujhse laakh sahii tuu magar kahaa’n,
hotii nahii’n qubuul duaa tark-e-ishq kii,
dil chaahataa na ho to zubaa’n me’n asar kahaa’n,
’Hali’ nishaat naghmaa-o-mai Dhuu’nDhate ho ab ,
aaye ho waqt-e-subah, rahe raat bhar kahaa’n.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments