Rang-birange sapne roz dikha jata hai kyon
Bairi chaand hamari chhat par aa jata hai kyon
Kya rishta hai aakhir mera eik sitare se
Roz wo koi raaz mujhe batla jata hai kyon
Palken band karoon to sab kuchh achha lagta hai
Aankhen kholun to kohra sa chha jaata hai kyon
Har paikar ka apna apna saya hota hai
Lekin saaye ko saaya hi kha jata hai kyon
Mere hisse ki kirnen jab koi churata hai
Neel gagan par sooraj wo sharma jata hai kyon
Shayad uske dil men koi chor samaya hai
Dekh ke mujh ko yaar mera ghabra jata hai kyon
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments