kahaa thaa kis ne ke ahad-e-vafaa karo us se
jo yu kiyaa hai to phir kyuu gilaa karo us se
ye ahl-e-baz tunak hausalaa sahii phir bhii
zaraa fasaanaa-e-dil ibtidaa karo us se
ye kyaa ke tum hii Gam-e-hijr ke fasaane kaho
kabhii to us ke bahaane sunaa karo us se
nasiib phir koi taqriib-e-qarb ho ke na ho
jo dil mei ho vahii baate kiyaa karo us se
'Faraz' tark-e-ta'alluq to Khair kyaa hogaa
yahii bahut hai ke kam kam milaa karo us se
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments