muntazir kab se tahayyur hai teri taqarir kaa
baat kar tujh par gumaan hone lagaa tasviir kaa
raat kyaa soye ki baaqii umr kii niind u.D gai
Khvaab kyaa dekhaa ki dhadakaa lag gayaa taabiir kaa
jaane tuu kis aalam me.n bichha.Daa hai ki tere bagair
aaj tak har lafz fariyaadii meri tahariir kaa
jis tarah baadal kaa saayaa pyaas bhadakaataa rahe
mai ne vo aalam bhii dekhaa hai terii tasviir kaa
kis tarah paayaa tujhe phir kis tarah khoyaa tujhe
mujh saa munkir bhii to qaa_il ho gayaa taqadiir kaa
ishq mein sar pho.Danaa bhii kyaa ke ye be-meher log
juu-e-Khun ko naam dete hai juu-e-shiir kaa
jis ko bhii chaahaa use shiddat se chaahaa hai 'Faraz'
silsilaa Tuta nahin dard kii zanjiir kaa
[munkir=atheist; qaa_il honaa=to be a fan/follower] [tahariir=writing]
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments