Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

Muttafaavate hain mere Khudaa ki ye tuu nahin koi aur hai




muttafaavaten hai mere Khudaa ki ye tuu nahi koi aur hai
ki tuu aasamaan pe ho to ho pisar-e-zamin koi aur hai

vo jo raaste the vafaa ke the ye jo manzile hai sazaa kii hai
meraa ham_safar koi aur thaa meraa ham_nashi koi aur hai

mere jism-o-jaan mein tere sivaa aur ko_ii bhii duusaraa
mujhe phir bhii lagataa hai is tarah ki kahin kahi koi aur hai

mai.n asiir apane gazaal kaa mai faqir dasht-e-visaal kaa
jo hiran ko baa.Ndh ke le gayaa vo subuk_tagii koi aur hai

[asiir=prisoner; gazaal=deer; subuk-tagii.n=name of emperor]


No comments