qurbatoo mei bhi judaai ke zamaane maange
dil vo bemehar ki rone ke bahaane maange
apanaa ye haal ke ji haar chuke lut bhi chuke
aur muhabbat vahi andaaz puraane maange
ham na hote to kisii aur ke charche hote
khalqat-e-shahar to kahane ko fasaane maa.Nge
dil kisi haal pe maane hii nahin jaan-e-'Faraz'
mil gaye tum bhii to kyaa aur na jaane maange
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments