Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

Tariki me’n zinda rahna hamko nahi manzoor ,

Tariki me’n zinda rahna hamko nahi manzoor ,
Jugnoo sa tabinda rahna ham ko nahi manzoor,

Ik pal ko hi chamke lekin bijli sa lahraye’n ,
Rakh tale painda rahna ham ko nahi manzoor,

Naghma chherhe’n saz bajae’n apne dil ka ham ,
Mausam ka sazinda rahna hamko nahi manzoor ,

Ham aazad parinde ,sari duniya apni hai,
Khitte ka bashinda rahna hamko nahi manzoor ,

Dast o gariba’n haal se hai’n ham farad raushan ho ,
Maazi me’n darkhshinda rahna hamko  nahi manzoor ,

Dil ke wasile hi se hamne sab kuchh paya hai ,
Aql ! tera karinda rahna hamko  nahi manzoor.

No comments