Khabar sachchi nahin lagti naye mausam ke aane ki
Meri basti men chalti hai hawa pichhle zamane ki
Meri har shakh ko mausam dilase roz deta hai
Magar ab tak nahin aai wo sa'at gul khilane ki
Suna hai aur ki khatir wo ab palken bichhati hain
Jo raahen muntazir rahti thin mere aane-jaane ki
Hamare zakhm hi ye kaam ab anjam dete hain
Zaroorat hi nahin parti labon ko muskurane ki
Zamana chahta hai kyon meri fitrat badal dena
Use kyon zid hai aakhir phool ko patthar banane ki
Hamare canvas par yun siyahi pher di kis ne
Ke ab jurrat nahin hoti naya manzar banane ki
Akarti ja rahin hain roz gardan ki ragen 'Aalam'
Hamen aye kaash! aa jaye ada bhi sar jhukane ki.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments