Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

ye raaz hai merii zindagii kaa




ye raaz hai merii zindagii kaa
pahane huye huu kafan Khudii kaa

phir nashtar-e-Gam se chhedate hain
ik tarz hai ye bhii dil dahii kaa

o lafz-o-bayaa mein chhupane vaale
ab qasd hai aur Khaamoshii kaa

maranaa to hai ibtadaa kii ik baat
jiinaa hai kamaal mu.ntahii kaa

haa.N siinaa gulo.n kii tarah kar chaak
de mar ke sabuut zi.ndagii kaa


No comments