Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

ye mujh se puuchhiye kyaa justajuu mein lazzat hai




ye mujh se puuchhiye kyaa justajuu mein lazzat hai
fazaa-e-dahar mein tahaliil ho gayaa huu main


haTaake shiishaa-o-saagar hujuum-e-mastii mein
tamaam arsaa-e-aalam pe chhaa gayaa huun main


udaa huu jab to falak pe liyaa hai dam jaa kar
zamiin ko tod gayaa huu jo rah gayaa huun main


rahii hai Khaak ke zarro.n mein bhii chamak merii
kabhii kabhii to sitaaro mein mil gayaa huun main

samaa gaye merii nazaro mein chhaa gaye dil par
Khayaal karataa huun un ko ki dekhataa huun main


[justajuu=search; lazzat=taste; dahar=world; tahaliil=immersed]
[falak=sky]
[arsaa-e-aalam=whole world]


No comments