phir shab-e-Gam ne mujhe shakl dikhaa_ii kyonkar
ye balaa ghar se nikaalii hu_ii aa_ii kyonkar
tuu ne kii Gair se merii buraa_ii kyonkar
gar na thii dil me.n to lab par tere aai kyo.nkar
tum dilaazaar-o-sitam_gar nahi main ne maanaa
maan jaayegii ise saarii Khudai kyonkar
aainaa dekh ke vo kahane lage aap hii aap
aise achchho kii kare koii buraai kyo.nkar
kasarat-e-ranj-o-alam sun ke ye ilzaam milaa
itane se dil mein hai itano kii samaii kyonkar
daaG kal tak to dua aap kii maqabuul na thii
aaj muunh maangii muraad aap ne paaii kyonkar
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments