Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

maujon kaa aks hai Khat-e-jaam-e-sharaab mein




maujon kaa aks hai Khat-e-jaam-e-sharaab mein
yaa Khuun uchhal rahaa hai rag-e-maahataab mein

vo maut hai ki kahate hai.n jisako sukuun sab
vo ain zindagii hai jo hai iztaraab mein

dozaKh bhii ek jalvaa-e-firdaus se husn hai
jo is se beKhabar hain vahii hain azaab mein

us din bhii merii ruuh thii mahv-e-nishaat-e-diid
muusaa ulajh gae the savaal-o-javaab me.n

mai.n iztaraab-e-shauq kahuu.N yaa jamaal-e-dost
ik barq hai jo kau.ndh rahii hai naqaab me.n


No comments