Halaman

    Social Items

Visit Namina Blog

paas-e-adab mein josh-e-tamannaa liye hue




paas-e-adab mein josh-e-tamannaa liye hue
main bhii huu ek hubaab mein dariyaa liye hue

rag-rag me.n aur kuchh na rahaa juz Khayaal-e-dost
us shoKh ko huun aaj saraapaa liye hue

saramaayaa-e-hayaat hai hirmaane-e-aashiqii
hai saath ek suurat-e-zebaa liye hue

josh-e-junuun mein chhuut gayaa aastaan-e-yaar
rote hain muunh mein daaman-e-saharaa liye hue

'Asghar' hujuum-e-dard-e-Gariibii mein usakii yaad
aaii hai ik tilismii tamannaa liye hue


No comments